By Hassan Bukhari
Meray rangrez meri saans saans rang hi daal Har aik saans meyn ho rang teri surkhi kaa Mera perhan e faqr bhee surkh ho meray lahoo ki tarahIssay bhee rang charha qalandron ki surkhi kaQadam qadam pey ho ghungruoon ki baaj ki sadaa Qadam qadam pey giray asar khoon ki surkhi kaaJinhey junoon sey garaz thi, heyn woh azal sey idher Nawaqif e israr par khula kab, sirr lahoo ki surkhi kaa Har aik qatra arsh e jaan ki zeenat hey aaj Hayat baksh hey asar, kis qadar lahoo ki surkhi kaaHassan Yeh khoon , amaanaat e shahan shaah e azalChalay gaa sooyay hashar , asar, jis kay lahoo ki surkhi kaa