Meray rangrez meri saans saans rang hi daal
Har aik saans meyn ho rang teri surkhi kaa
Mera perhan e faqr bhee surkh ho meray lahoo ki tarah
Issay bhee rang charha qalandron ki surkhi ka
Qadam qadam pey ho ghungruoon ki baaj ki sadaa
Qadam qadam pey giray asar khoon ki surkhi kaa
Jinhey junoon sey garaz thi, heyn woh azal sey idher
Nawaqif e israr par khula kab, sirr lahoo ki surkhi kaa
Har aik qatra arsh e jaan ki zeenat hey aaj
Hayat baksh hey asar, kis qadar lahoo ki surkhi kaa
Hassan Yeh khoon , amaanaat e shahan shaah e azal
Chalay gaa sooyay hashar , asar, jis kay lahoo ki surkhi kaa